Wednesday 7 September 2011

Aashiq ka apanay akhri dedar dekhna hay

Meer Taqi Meer Poetry in Urdu

Annkhon mein ji mera hay idhar yehhr dekhna
Aashiq ka apanay akhri dedar dekhna

Kaisa chaman kay ham se asiron ko mana hay
Chak-e-qafas se bag ki diwar dekhna

Ankhen churaio na tuk abr-e-bahar se
Meri taraf bhi didah-e-khunbar dekhna

Ay ham-safar na able ko pahunche chashm-e-tar
laga hay mere paon mein a kar dekhna

Hona na char chashm dik uss zulm-paishah se
Hoshiyehhr zinhar khabardar dekhna

Sayehhd dil hay dag-e-judai se rashk-e-bag
tujh ko bhi ho nasib yeh gulzar dekhna

Gar zamzama yehhhi hay koi din to hamsafar
Is fasl hi mein ham ko giraftar dekhna

Bul-bul hamare gul pe na gustakh kar nazar
Ho jayehga gale ka kahin har dekhna

Shayehhd hamari khak se kuch ho bhi ae nasim
Girbal kar ke kucha-e-dildar dekhna

Us khush-nigah ke ishq se parhez kijio 'Mir'
Jata hay leke ji hi yeh azar dekhna

No comments:

Post a Comment